Jo iss duniya mai nahi milte,
Woh fir kis duniya main milenge janaab,
Bas yahi sochkar rab ne ek duniya banayi,
Jisey kehte hain Khwaab.
ख्वाब तो वो है जिसका हकीकत मे भी दीदार हो…
कोई मिले तो इस कदर मिले,
जिसे मुझ से ही नही,
मेरी रूह से भी प्यार हो.
Kaash Yaadon ka matlab wo samajhte,
Kaash khwabon ka matlab wo samajhte,
Nazar milti hai hazaar nazron se,
Kash hamari nazar ka matlab wo samajhte.
Tere haath ki main wo lakeer ban jaun,
Sirf mai hi tera muqadar teri takdeer ban jaun,
Mai tujhe itna chahu ki tu bhool jaye har rishta,
Sirf mai hi tere har rishte ki tasveer ban jaun,
Tu aankhe band kare to aau mai hi nazar,
Iss tarah mai tere har khawab ki tabeer ban jau.
Tum beshaq hume dil se nikal do,
Hum tumhe dil ke sheeshe mai hamesha sajayenge,
Tum chahe jitne bhi door jao humse,
Tumhe satane teri yaado mai aa jayenge,
Kabhi bhulne ki koshish ki jo tumne toh yaad rakhna,
Hum khwaab me aake tumhe jaga jayenge.
Nahi jo dil me jagah to nazar me rehne do,
Meri hayaat ko to apane asar me rehne do,
Main apni soch ko teri gali me chhor aaya,
Mere wazood ko khwabon ke ghar me rehne do.
Sehmi Si Nigahon Mein Khwaab Hum Jaga Denge,
Sooni In Raho Pe Phool Hum Khila Denge,
Hamare Sang Muskura Ke To Dekhiye,
Hum Aapko Har Gham Bhulwa Denge.
Khawab bhi shayad kaanch se kamzor hote hain,
Har roz bikhar jate hain faqat ek aankh ke khulne se…!
ज़िन्दगी एक हसीन ख़्वाब है,
जिसमें जीने की चाहत होनी चाहिये ।
ग़म खुद ही ख़ुशी में बदल जायेंगे,
सिर्फ मुस्कुराने की आदत होनी चाहिये ।
Pyar jab milta nahi toh hota hi kyun hain,
Agar khwaab sach nahi hote to insaan sota kyu hain,
Jab yahi pyar aankho ke samne kisi aur ka ho jaye,
Toh phir yeh pagal dil itnaa rotaa kyun hain.
” Wo reh na paye ek pal mere bina…
Khuda unko tu is tarah mera apna sa kar de…
Main hi tham saku haath unka…
Baki duniya ke liye unko tu Sapna sa kar de… “
Tanhaiyon main muskurana ishq hai,
Ek baat ko sab se choopana ishq hai,
Yun to neend nahi ati hume raat bhar,
Fir bhi unka khwabo me aana ishq hai.
Gulaab ki mehak bhi phiki si lagti hain,
Konsi khusboo mujme basa gaye ho tum,
Zindagi hain kya teri chahat ke siva,
Ye kaisa khawab ankhon ko dikha gye ho tum.
The post Khwaab Shayari In Hindi appeared first on LoveSove.com.