चेहरे पे मेरे ज़ुल्फ़ को फैलाओ किसी दिन क्या रोज़ गरजते हो बरस जाओ किसी दिन
Har Baar Usi Ki Guftgun… Sau Baar Usi Ki Aarzoo, Wo Paas Nahi
Hota To Bhi Hai Mere Rubru..
Rafta-rafta bhuj gya chirag-e-aarzoo… pehle dil khamosh tha ab
khwaaishe khamosh hai…!!
aarzoo bachpan se thi chand dekhne ki…! aur fir yu huya, ki
hum aap se takra gaye….!!
dhadakta hai dil bas tumhari hi aarzoo me fir kaise na kahu meri
jaan ho tum.
Tere seene se lagkar teri aarzoo ban jau, Teri sanson se milkar
teri khushboo ban jau, Mai… mai na rahu bas tu hi tu ban jau.
Badi aarzoo thi mohabbat ko benaqab dekhne ki, dupatta jo sarka
toh julfe deewar ban gayi.
Iss zindagi ko jeene ki aarzoo, Bin tere hai adhuri, Tere sath
jo mil jaye, Meri zindagi ho jaye puri.
Unki ye khwashish hai ki Hum zuban se izhaar kare Hamari ye
aarzoo hai ki vo dil se zuban samajh le.
Aarzoo Honi Chahiye – Hindi Aarzoo Shayari Images
आरज़ू होनी चाहिए किसी को याद करने की……!!
लम्हें तो अपने आप ही मिल जाते हैं.
कौन पूछता है पिंजरे में बंद पंछियों को….
याद वही आते है जो उड़ जाते है…!!
Aarjoo Honi Chahiye Kisi Ko – Aarzoo Hindi Shayari With Image
Aarjoo Hindi Shayari For Facebook
आरज़ू होनी चाहिए किसी को याद करने की……!!
लम्हें तो अपने आप ही मिल जाते हैं.
कौन पूछता है पिंजरे में बंद पंछियों को….
याद वही आते है जो उड़ जाते है…!!
For Daily Updates Follow Us On Facebook
Ye Aarzoo Nahi Ki Kisi Ko Bhulaye Hum – Aarzoo Shayari
Best Aarzoo shayari
Ye aarzoo nahi ki kisi ko bhulaye hum,
Na tamanna hai kisi ko rulaye hum,
Bas jisko jitna yaad karte hain,
Usey bhi utna yaad aayein hum.
For Daily Updates Follow Us On Facebook
Aarzoo hone chahiye kisi ko yaad karne ki,
Lamhe toh apne aap hi mil jate hain,
Kon puchta hai pinjre mai band panchiyon ko,
Yaad wahi aate hain jo udd jate hain.
Kabhi Ye Weham Ki Wo Mera Hai Sirf Mera,
Kabhi Ye Darr Ki Wo Mujh Se Juda To Nahin.
Kabhi Ye Dua Ki Use MiL Jaye Sare Jahan Ki Khushiyaan,
Kabhi Ye Khauf Ki Wo Khush Mere Bina To Nahin.
Kabhi Ye Tamanna Ki Bas Jaun Us Ki Nigahon Main,
Kabhi Ye Darr Ki Us Ki Aankhon Ko Kisi Ne Dekha To Nahin.
Kabhi Ye Khwahish Ki Zamana Kare Tarif Uski,
Kabhi Ye Weham Ki Wo Kisi Se MiLa To Nahin.
Kabhi Ye Aarzoo Ki Wo Jo Mange MiL Jaye Use,
Kabhi Ye Soch Ki Usne Mere Siwa Kuch Maanga To Nahin….!
Teri aarzoo main humne Baharon ko dekha,
Teri justju main humne Sitaron ko dekha,
Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,
Humne jiske liye hazaron ko dekha…
Muddat se thi kisi se milne ki aarzoo
Khwahish-e-didaar mein sab kuch gawa diya
Kisi ne di khabar ki wo aayenge raat ko
Itna ujaala kiya ki ghar tak jala diya..
The post Aarzoo Shayari appeared first on LoveSove.com.